Monday, October 11, 2010

jindagi ko ek bahane ki talash hai

Jindagi ko jeene ka bahana chaiye
kya sahi kya galat janana chaiye
samajah mein aaye jab tab der na ho jaye
utho jago kuch kadam to barao
is narak se bahar to nikalwao
hum to anjane hai aur mukti ke ichadhari hai
bus ek majhi ki talash hai
jo jindagi ko par laga de
andhere mein gyan ka prakash dalwa de
aur uske sath jewan katne ki tamana hai
bus dili ek khawais hai
mil jaye manjil na phas jaye is chakrayouh mein
bus mahi ki talash hai
jindagi ko jeene ke bahane ki talsah hai

No comments:

Post a Comment